Wednesday, October 19, 2011

DIYA BUJJA DO - CHUBATI AANKHEN

Baat joti - pathrayee aankhen
Yey kis mod pey aa gayee main
Jhurriaan kee kahani padtey padtey
Yey kis hod main aa gayee main

Aaj kahaan hai vo merey chahaney waley
Sab chaley gayey ek ek kar key
Ab rah gayee ik thoonth see main
Bujati jaati - niharti aankhen

Rah rah kar tum yaad aatey
Bahut sataya hai mainey tumko
Har baat per toka tumhey
aansoo girtey - pukarati aanken

Chalo ab jaaney ka waqt aaya
Yey kis prahari ka samvaad aaya
Uththi hoon apni laathi lekar
Diya buja do - chubati aankey

No comments: