Friday, October 28, 2011

RAAT BHAR MAIN BHAGTA RAHA

Raat bhar main jagta raha
Raat bhar main bhagata raha
Tha kisney pukara na jaan paya
Geet mera –hai kisney gaya

Raat bhar main jagta raha

Too hee hogi oh meri mehbooba
Jiskey pyar main hu main dooba
Aaja – ab to sharm o haya chod
Apney pyar main la ek naya mod

Raat bhar main jagta raha

Dekh waqt rukta nahin kisi key liyey
Tera wada hai – jala ankhon key diyey
Husan tera pigal na jayey intezaar may
Doondtha tujhey har gali har bazar may

Raat bhar main jagta raha

Kaali raat ab dhalney ko hai
Safed din ab chadhney ko hai
Ajnabiyoun ko koyee rok na ley
Anjan ban ke tum kahan chaley

Raat bhar main jagta raha

No comments: