Main nahin raha to kya hai
Terey dil main meri arzoo to hai
Aa ki ab din dhalney ko hai
Aa ki ab saans rukney ko hai
Tera pyar nahin mila to kya hai
Terey pyar ki zustzoo to hai
Tera haath merey haath na aya to kya hai
Tere pyar key aanchal main zindagi to hai
Na dhoond apney khawab mujh main
Main to teri aank se nikla ek aansoo hoon
Hayey yeh kon see manjil aa gayee
Kiya kisney mere armannon ka khoon
Ey dil ab to tera bhee aitbaar nahin
Kis Kis key peechey lag jata hai too
Kuch to samaj duniya – e – dastoor
Apni dhalti umar ka khayal to kar too
Main nahin raha to kya hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment