Monday, November 28, 2011

YEH KAUN SEE DUNIYAN MAIN AA GAYA HOON

Merey aansoo nahin ruktey - kahan aa gaya
Jahan bee dekha - dukh he nazar aa gaya
Ab band kar lee mainey aankhen - kya dekhoon
Yeh Kaun see duniya main aa gaya main hoon

Poonch poonch kar aansoo meri rooh geeli ho gayee
Nayey Nayey cheherey roj aayey peed apni sunayee
Khada hoon prahari jaisey jab tak saans hai
Sab meri hee peed hai - koyee peed nahin prayee

Kuchaltey sab kee aashaon ko - yeh log kaisey
Na jeetey hain na martey hain - yey rog kaisey
Oh rabba mere ab or na zulam karney dey inko
Nahin ton chod deynge sab apni masoomiyat waisey

Jitney laad sey pyar sey tunhey duniya jo banayee
Bachhon kee - boodhon kee - hai atma ghabrayee
Na to margdarshan hai - na koyee prerana
Dhokha hee dhoka hai pyar main - sab baney harjayee

Ladoonga main aakhari saans tak terey liyey
Too bhee to aakar saath merey beth - jala diyey
Duniya bana kar chaley jana shobha nahin deta
Bahut amrut pee liya tumney - kuch zahar bhee piyey

No comments: